Sada Rahe ga Hussain ka Gham
Ye shor e girya ye shor matam
Sada Rahe ga Hussain ka Gham
Ye shor e girya ye shor matam
Ye shor e girya ye shor matam
Suni hoi dastan e peham
Aik ah ban kar ubhar rahi hai
Wo Karbla ki Sada e Purgham
Sada Rahe ga Hussain ka Gham 2x
Uthe jo Zulm o sitam ke jhonke
Sawal ye tha ke kon roke
Hussain Ibne Ali ke dar per
Jami hoi theen nigah e alam
Sada Rahe ga Hussain ka Gham 2x
Barha jo had se ghuroor e batil
Taraph utha pher Hussain ka dill
Chala haram ko watan se lekar
Rida e Zainab bana ke parcham
Sada Rahe ga Hussain ka Gham
Usool e Fikro Amal ko Mora
Yazeeded ke fasun ko tora
Har eik Diwar e Zulm dha kr
Bana gya din ka qasr e muhkam
Sada Rahe ga Hussain ka Gham 2x
Jafaun ka dill hila ke utha
Wo Qabar e Asghar bana ke utha
Jawan ki mayat pe muskura kar
Badal gya fikar e nasle Adam
Sada Rahe ga Hussain ka Gham 2x
Sambhal ke toke hamen zamana
Guzar gya dor e taziana
Be ghor sun jahan wale
Ab es alam ke hain pasban hum
Sada Rahe ga Hussain ka Gham 2x
Wo asq palkon se dhal rahe hain
Wo zulm ka rukh badal rahe hain
Ye Ahwesheeon ki fiza mein
Ghut ghuta sa hai kufar ka dam
Sada Rahe ga Hussain ka Gham 2x
Na ruk saki hai na ruk sake gi
Aza e mazloom kya ruke gi
Dilon ki har eik dharkano sei
Ubhar Rahi hai sada e Matam
Sada Rahe ga Hussain ka Gham 2x
0 Comments