Khun me duba aya alam abbas ka 

Karte he matam ehle haram abbas ka 


Naher pe jab pohncha wo sher Ali ka 

Khof se  bhage phir sab lashkar e ada 

Pani ne chooma badh ke qadam abbas ka 

Khun me duba aya alam abbas ka 2x


Kahte the ye sarwar kah do mujh bhai 

Ran me qayamat ki kaisi  ghadi aai

God me shah ki nikla he dam abbas ka 

Khun me duba aya alam abbas ka 2x


Mar gaya darya par wo shere delawar 

Shane kate dono laga gurz bhi sar par 

Takte rahe  hai rasta haram Abbas ka 

Khun me duba aya alam abbas ka 2x


Thame kamar apni ye kehte hai sarwer 

Koi nahi Mera ab moniso yawar 

Padte hai noha shahe umam Abbas ka 

Khun me duba aya alam abbas ka 2x


Peet ke sar apna rone lage bacche 

Kehte the ham yuhi rehjainge piyase

Khali jo dekha ate Alam abbas ka

Khun me duba aya alam abbas ka 2x


Sene se baccho ko zenab ne lagaya 

Mashko Alam Aye gazi nahi aya 

Kese uthega zenab se gam Abbas ka

Khun me duba aya alam abbas ka 2x


Pani Ko tarsi he Masoom sakina 

Kante zaba par he duswar hai jeena 

Karti thi nala ba chasme nam Abbas ka 

Khun me duba aya alam abbas ka 2x


Dengi Ayaz tum Zehra bhi Duanen 

ghurbat e ghazi Jo  dunya ko sunaen 

Karta he shehzad noha raqam Abbas ka

Khun me duba aya alam abbas ka 2x